Google

Ek Ladki Jo Sabka Khayal Rakhti H -”KHUSHI” (Somya)

Ek Ladki Jo Sabka Khayal Rakhti H -”KHUSHI” (Somya)

Somya jisko mein pyaar se Khushi bulata hu ek soft hearted ladki h. Somya se meri friendship college time mein hui thi . Wo B.Tech (Biotechnolgy) se thi. Maine kayi baar Somya ko dekha tha but kabhi baat nhi hui thi . Hum log Facebook par connected the . Waha se conversation start hui . Facebook friend se dheere dheere hum log kaafi ache dost ban gye . Wo kaafi cute h and emotional bhi and mein jitna funny hu utna hi gusse wala.
Khushi Smiley
Khushi Smiley

Wo hamesha se “uniform” ki deewani h . Uniform se mera matlab h , vardi ek soldier ki. Wo jab bhi dikhti thi usk face par ek cute smile rehti thi isliye uska naam “KHSUHI” rakha tha . Usko kahi bhi dekh kar dil khush ho jaata tha pehle bhi aur aaj bhi. Wo mujhe “Smiley “ bulati thi. Dheere dheere ye naam girls hostel mein famous ho gya tha .Kafi log mujhe Smiley bulane lage the . Aaj bhi mujhe ye naam sabse jyada pasand hai. Smiley Somya ki dosti achi chal rhi thi . Hum logo ne milkar apna group create kiya hai “Dildaar “. Dildaar k andar hum paanch log the - Smiley, Khushi, Vishal , Adarsh(bp), Priyanka(Pizzu). Group ban gya tha and kafi maza aata tha . Hum log sath mein ghoomte the , party krte the , mazak udate the and bahut kch. Hamare group ka addiction tha -”tea”. Jaha chai milti thi wahi mafil jam zaati thi. Hum log morning mein chai peene nikal jaate the. Group mein 5 log the and iska matlb 5 birthday bhi celebrate karne hote the. Sabk birthdays ki pre planning Somya hi karti thi.
Wo sabk liye surprises plan karti thi and aaj bhi krti h. Parties organise karna and surprises plan karna hme Somya ne hi sikhaya. Hamara ye group kafi famous tha. Wo kaanha ki bahut badi bhakht h,month mein ek baar mathura jaroor jaati h.

Dildaar
Dildaar
Pure group mein gusse wala insaan mein hi tha , jo choti choti baaton par muh fulata tha . Gusse mein jhagde bhi ho jaate the, lekin jyada din doston se door nhi reh sakte so sorry bolkar matter solve kar lete the. Mere sabse jyada jhagde Somya se hi hue. Somya sad hoti thi to poora group sad ho jaata tha. Wo hurt ho jaati thi but kisi ko batati nhi thi ,but uski aankhon mein dikh jaata tha. Wo sab kch rok sakti h , but apne aansu nhi rok sakti . Somya k sath bahut saari good memories h jinko kabhi nhi bhool sakte . Aisa dost muskil se milta h, jo aapki feelings ko samjhe . Wo hamesha sabki help karne k liye ready rehti thi . Mein hamesha se ek hi cheez chahta tha , Somya ki friend list mein top position meri ho. Mujhe thoda bhao khane ki adat bhi h , har cheez mein attention chaiye agar attention na mile to mein sad ho jaata tha. Is chakkar mein kayi baar jhagde ho jaate the .

Khushi smiley 2

Jhansi k saare mandir and pavitra sthal k darshan hme Somya ne hi karae. Aaj bhi uska favourite place mandir hi hota h. Jo insaan sabka khayal rakhta h aksar wahi sabse jyada hurt hota h. Somya k sath bhi aisa hi hota tha , log use hurt kar dete the kisi na kisi wajah se. Exam time mein sabse jyada padhti thi ,and bahut serious rehti thi . Hum log to 1 ghanta padh kar exam dene chale jaate the , wo raat bhar soti nhi thi. She was always dedicated towards her work. Hum logo ka whatsapp par group tha , saari cheeze wahi discuss hoti thi and plan hoti thi. Lekin jab bhi koi matter hota tha to sab log group left kar dete the . Phr Somya sabko bapas add karti thi. Wo sabse samajdaar thi .
Meri Somya ki dosti mein ek time aisa bhi aaya tha ki 5-6 months hum logo ne baat nai ki thi .Wo dikhti thi magar baat band ho gyi thi , Wo period kafi bura tha mere liya . Jo insaan aapko sabse jyada pasand ho and usi se door rehna pade , ye sabse painful hota h. But baad mein sab sahi ho gya. Aandhi mein jo ped jhuk jaate h , wo bach jaate h and jo nhi jhukte wo toot jaate h. Life mein kayi baar aisa time aata h jaha aapko jukna chaiye and agar galti aapki h to accept karna chaiye .Agar aap aisa nhi krte h to rishte wahi se kharab hona suru ho jaate h.
Abhi 1 March ko Somya k birthday par hum log milne gye the kafi maza aaya. Hum log to milne ka bahana dhoondte rehte hai . Ab life thoda busy hone lagi hai but dost k liye hamesha time hi time h.
khushi smiley 3

Wo jab bhi yaad krte h ,dil bhaag kar unk pass pahunch jaata h.
Somya mere liye hamesha se special h ,and hamesha special rahegi. Mein is cheez mein kafi lucky hu , jaha bhi gaya hu ache log and ache dost har jagah mile . kabhi bhi family se door rehne ki kami mehsoos nai hui . Friends k sath ek aisi family ban chuki h , jo hamesha sath rehti h.



Best Friends Forever ( Khushi & Smiley)

Post a Comment

10 Comments