Google

Ye Mausam Ki Baarish,Ye Baarish ka Mausam

Ye Mausam Ki Baarish,Ye Baarish ka Mausam

Baarish ka mausam

Baarish se ek alag hi pyaar hai . Baarish mein nahane mein jo sukoon milta hai usko sabdon mein batana mushkil hai. Baarish mein ek cup chai mil jaaye phir to aisa lagta hai maano aashiq ko Mehboob mil gya ho. Chai ki chuski lete hue girti hui boondon ko niharna , baarish mein nahate hue bachhon ko dekhna , pedon ka muskarana bahut anand deta hai. College ke dino mein doston ke sath baarish mein jaanboojh kar bheegna aur masti karna, phr kaanpte hue chai ki dukan par chuski lena bahut anand deta tha. Gaon mein kisano ke liye Jeevan daan hai baarish. Baarish time par no ho to saari fasal barbaad ho jaati hai . Aur agar baarish jyada ho jaaye to apne sath sab kuch baha le jaati hai .

Kayi baar baarish gum chupane ke kaam bhi aati hai , baarish aapka dukh halka karne mein bhi madad karti hai .Jab aap apna dard kisi se baat nhi paate hai to phr baarish mein ja kar ro lete hai .Isse aapka man bhi halka ho jaata hai. Baarish ek daba ki tarah hai jo apne sath saare dukh dard le kar jaati hai. Bachpan mein kagaz ki nao  ko behte hue paani mein tairte hue dekh kar apar anand milta tha. Phir jab wo nao doob jaati thi to dukh bhi hota tha. Phr hum dusari nao banate the .Jeevan bhi kuch isi tarah chalta hai . Hum asafal hote rehte hai aur phir se kosis krte hai jab tak ki apna lakshaya prapt nhi kar lete .

Baarish hme sambhal kar chalna sikhati hai . Baarsih hme sikhati hai agar apne kadam sahi jagah nhi rakhenge to hum gir jaenge. Baarsih ke baad har jagah hariyali hi nazar aati hai . Sab kuch hara bhara ho jaata hai. Dharti khil uthti hai . Baarish ka mausam garmi khatam krta hai. Baarish ka Mausam le kar aata hai aur sabko Sandesh deta hai ki dukh ke baad sukh aata hi hai .Bas hme dhairya nhi khona chaiye.

 

“hme baarish ki tarah sabko sukoon dena chaiye”


Post a Comment

0 Comments