Google

Dushmani se dosti tak ka safar , Ek anokhi dost Jaya - Mytalesonline

Dushmani se dosti tak ka safar , Ek anokhi dost Jaya  - Mytalesonline

Baat 2014 ki hai B.Tech mein admission le liya tha . Naye naye dost mil rhe the . Kch log aise bhi the jinse hum ab tak anjaan the . Sabse baat nhi hoti thi . Aisi hi ek classmate thi Jaya . Suruaat k dino mein inse koi baat nhi hui . But facebook par connected the . Ek din hum dono facebook  par online the class mein kisi ne afwa faila di hmne inke baare mein kch galat bola hai . Lekin aisa kch nai tha . Is baat par hamari behas ho gyi aur jhagda bhi ho gya . Hum dost banne se pehle hi door door ho gye. Ek hi class mein the but ek dusare se koi khaas matlab nai tha . Hum is baat ko bhool chuke the.

Jaya 1 Semester exams mein hum dono ka roll number ek hi seat par padta tha .Dono parallel rows mein the .Kch semester hmne bilkul baat nhi kari .Hum sirf exam dete aur chup chaap nikal lete . 3rd ya 4th semester ke exam chal rhe the . Mein exam finish kar k apni seat se uth rha tha . Exam end hone mein 30 minutes baaki the . Jaise hi mein utha Jaya ne pehli baar mujhse bola-" Black pen hai" , maine de diya aur bahar nikal gya. 
Ye turning point tha , yaha se hamari friendship start hui . Ab hamari baat hone lagi thi . Facebook par bhi and whatsapp par bhi . Jaya hamesha se independent rhi hai .Apna expenditure usne khud uthaya kabhi family par burden nai daala. Wo kaafi mehnati hai hamesha se . Usko kabhi time waste krte nai dekha . Usk pass time rehta bhi nai tha , class khatam hoti hi wo ghar bhaag jaati thi.
Jaya 2
Dheere dheere hum ache dost ban rhe the. Phone par bhi baat ho jaati thi . Jaya ka birthday 8 August ko aata hai . 8 August 2017 ko usne pehli baar hme apne birthday par invite kia tha .  Kafi memorable day tha wo .Hum logo ne bahut masti ki hi us din .Hum  logo ka Orchha fort jaane ka plan tha . Chaar log the us din mein ,Jaya and uski 2 dost. Morning mein hi hum chaaro Orchha nikal gye .Jhansi se 20 km door hi padta hai . Kaafi ghoome bahut masti kri , usk doston se pehli baar mila tha  but wo log kafi funny the . Sab logo m mein kaafi lamba tha , mujhe selfie stick ka kaam mila tha .Saari selfies mein hi le rha tha . Din ghoomne mein gujar gya shaam ko hum log dinner k liye nikle .Jhansi bapas aane k baad dinner kiya and apne apne ghar aa gye .
Cheeze sahi ho gyi thi ab purane gile sikbe katam ho gye the. Discuss karne par pata chala hum log faltu mein lad liye the. Kaafi hasi aayi baad mein . 
Jaya 3
Ab college parties ,events ,functions mein hum log milte rehte the . Class mein to kam hi baat krte the . Jaya unlogo mein se hai jo choti choti cheezo se hi khush rehte hai . Wo apni duniya mein khus thi .
Jaya ki ek help mujhe hamesha life time yaad rahegi . Switching Theory ka exam tha .Mein jitna  bhi padh kar gya tha usme se kch nai aaya . Jaya ne 20 marks ki cheating karai hi . Wo 20 marks nhi hote to isme back aa jaati definitely . Ye to hui ahsaan wali baat. Isk baad Jaya k yaha family functions mein bhi gya. Uski badi sister se bhi ek baar mila. Finally hum ache dost ban gye the .
Jaya 4

 Dheere dheere final year aa gya , campus placement drives start ho chuki thi . Interviews chal rhe the . Hum log sath mein hi saare interviews attend kar rhe the. HCL mein hum dono ka ek sath placement ho gya. 3 months ki training k baad joining thi. College end hote hi hum Ghaziabaad aa gye . Jaya Noida pahunch gyi . Training mein mera documentation issue aa gya to mein join nai kar paaya. Maine Noida mein dusari company join kar li. Jaya ab HCL mein h. Hum log jyada mil to nai paate but hamesha connected rehte hai . Usk saare updates milte rehte hai . Wo kaafi funny bhi hai , hamesha pitne k kaam karti hai.
Jaya se friendship thoda late hui but ab lifetime rahegi. Wo ek achi dost hai.





Post a Comment

6 Comments